23 December, 2012

Sachin Retires!!!!!


Retirement

Aj cricket ki dunya me ek aham din he ja is waqt ka sab se great cricketersachin tendulkar ne one day cricket ko alvida keh diye he, really yeh ek bahut badi ghatna he lekin yeh to ek din hona hi tha. Kuch log kehte hain k sachin ko pehle hi retire ho jana chaiye tha aur kuch kehte hain k abhi aur khelna chahoye tha. Magar haqiqat yeh h k sachin ko khud bhi yeh feel hone laga tha k ab who zyada acha nahi khel sakte, chun k ane wali series Pakistan se he aur is team ko harana world cup jitney se bhi bada khab he lihaza ab zaroor noujawano ko aur jinki achi form he unko mouqa dena chaiye ta k Hindustani cricket acha halat me ho aur jitney ka record behtar ho. Malum hona chahiye k abhi tak india k muqable pak ka record hi behtar he,

Time choice

Kya is waqt sachin ko retire hona chahiye? Yeh ek bahut ada sawaal he abhi Pakistan ki series se pehle hi kyun? Ap pehle bhi to retire ho sakte the? Abhi filhal apne England k sath test me acha nahi kiya to apko test se retire hona chahiye tha na k one day se, ho sakta he k mai galat keh raha hun magar test se bhi apko jana chahiye ta k is format me bhi naye logon ko chance mile, aur waise bhi india me batsman ki line lagi hui he, (yeh bat alag h k ache batsman ko moqa bahut kam milta he). Bahut se aise bhi hain jinki ranji khlete-2 guzar gayi aur unko national team me khelne ka moqa hi nahi mila.

A great cricketer

is me koi sandeh nahi he sachin ek great cricketer hain, unhon ne who karname kar dikhaye hain jo flhal kisi se possible nahi he, inte sare records todna ab kisi k bas ki bat nhi he, q k inta lamba career hi sab ka nahi hota he aur fr itne dino tak form me rahna bhi ek badi baat he. Aur fr itne sare records banana. Mahashatak ho ya fir ek hi pari me 200 run. Man of the match ka record ho ya fir 50s ka. Batting ki who kon si line he jis me sachin ka naam nahi he, isi liye to har bada khiladi sachin ki tareef karte hen aiye padhiye koun kya kehta he sachin k bare me:

Experts say about Him

"I c myself when i c Sachin batting.-                                                                                   Don Bradman(AUS)


"I want my son to become Sachin  
Tendulkar." -                                                                 Brian Lara(WI)


''V did not lose 2 a team called  
India, v lost 2 a man called Sachin''                                       Mark Taylor(aus)



'Nothing bad can happen 2 us if v  
were on a plane in India wit Sachin Tendulkar on it.''-          Hashim Amla(SA)
                                                                                            

''He can play that leg glance with a  
walking stick also.-                                                     Waqar Younis (Pak)



''There r 2 kind of batsman in the    
world. 1 Sachin Tendulkar and 2. all the others .  -         Andy Flower(ZIM)
               

"I have seen God. He bats at no.4  
for India in tests.                                                   -Matthew Hayden (AUS.)



"Do your crime when Sachin is 
batting, bcos even God is busy watching his batting.                -Australian Fan

We are Proud

Hamen ek Indian hone k nate yeh kakhr he k sachin hamare desh ka cricketer he, aur han agar sachin kisi aur desh k player hote to unko itna samman nahi mil pata, q k Indians samman dene me sab se agey hain, yahan tak k khuda k martabe tak bhi pahuncha dete hain,
Who is next?
Yeh to final h k ab dusra sachin paida nahi ho sakta lekin is bat ka bahut intezar h ab koi un jaisa ho, jisko ham apna sab se bada player keh saken, jo naster ho sake, bahut se abhi is line me hian magar who itne ache nahi hen k sachin ki jagah le saken.
Ham dua karte hain k is yeh great plaer yuhn hi hamare beech bana rahe aur Indian cricket ko apni ervice deta rahe. Q k un k bina to Indian cricket adhura he. Aiye ek nazar un k career par daal lete hain.

Records

  • 23 Years, 463 Matches, 49 Centuries, 96 Half Centuries, 18426 Runs !!
  • Most number of hundreds in the ODI 49
  • - Most number of nineties in the ODI
  • - Most number of man of the matches in the ODI's -61
  • - Most number of man of the series(15) in ODI's
  • - Best average for man of the matches in ODI's
  • Matches Played: 463 ( Most )
  • Consecutive ODI Appearances: 185
  • Most Stadium Appearances: 90 different Grounds
  • Inning appearances: 452 ( Most ). First to appear in 400 innings in ODI matches.
  • Sachin Tendulkar Most runs in an ODI Innings



Sachin Tendulkar holds the record most runs scored in one ODI innings. He is the one and only batsman to score 200 runs (147ball 25x4 3x6) in an ODI against South Africa

FAISAL ANAS

19 December, 2012

Delhi rape!!!!!


Oh shitttt! again a girl raped in capital?? samajh me nahi araha he k yeh hamaro Delhi me kya ho raha he? kidnapping, killing, murdering, chori, rapping aur na jane kitne crimes hamari Delhi me ho rahe hain, ab to Delhi me dar lagne laga he. har din koi na koi crime wahan ho raha he, aur ab to had ho gayi jab sare aam ek bus me ek ladki ka uske boy friend k hi samne rape kar diya jata he, akhir aisa q?? kya log un k dar se din bhi ghoomna chord den?akhir unki man mani par police lagam q nahi lagati he? bar bar is tarah ki harkaten hoti hen aur result wohi zero ka zero, is se unki himmat to badhti hi he sath me public darti bhi he.
Yeh Q nahi hota?
     Sawal yeh he k in par koi karrawai q nahi hoti he? inko pakad kar jail me band q nahi kiya jata he? in k ek alag COURT ka management q nahi kiya jata he? inko fast track court q nahi bheja jata he? inko zamanat par q riha kiya jata he?  yeh kuch aise sawaal hen jo India ka har admi puch raha he, q k koi bhi in zalimo ka shikar ho sakta he. Aur Delhi ka to yeh haal he k woh crime city ban chuka he, jagah jagah gunde mawali ghoomte rehte hain, parkon me, foot path par, buson me, school k pas, girls hostel k pas aur samne, koi bhi public palace ho wahan is tarah k awara ladke ghoomte rehte hian aur moqa milte hi apna kaam kar jate hain aur police dekhti reh jati he. Aur maza tab ata he jab sab kuch ho chukne k baad hamesha ki tarah police bhi jagti he aur hamare neta log bhi jagte hian, KAB???? JAB K kisi ki izzat neelam ho chuki hoti he, JAB  kisi ki zindahgi khatm ho chuki hoti he, JAB K kisi ka ghar lut chuka hota he,  JAB K kisi ka bacha kidnap ho chguka hota he, ab police bhi jagti he, politicians bhi jagte hain, apne apne bayan dete hain, parliament me halla machta he aur parliament ki proceeding s ko band kar diya jata he, foir dhire dhire waqt guzar jata he aur sab thande pad jate hain yahan tak k dusra kand ho jata he aur phir wohi purani chal shuru ho jati he.
Akhir kab tak?
       Akhir kab tak?? kya koi aisa bhi waqt ayega k Delhi wale chain ki sans le sakengey? hame ummid to zarur he magar filhal uski roi raah nazar nahi ati he, afsos tab hota he jab din me is tarah ki ghatnayen hoti hain jab k Delhi me raat me job karne wale bhi kam nahi hen, na jaane kinte haaadsat raat me hote hain aur pata bhi nahi chal pata he, aur yeh rozana ho raha he. Aur sab se badi wajah so samajh me ati he woh inka na pakda jana, yeh crime kar k bhi azad hote hain aur bar bar is tarah ki harkaten karte hain. Agar inko saza di jaye aur akhbar me inki saza ko dikhaya jaye aur chapa jaye aur woh bhi phot k sath to mai samajh ta hun k halat sudhar sakte hain.
What to Do?

  • Aksar cases me wines n beers  ka role aham hota he, jab log sharaab k nashe me hote hain tab sab kuch bhool jate hain, aise me agar unko saza ka bhi dar nahi hota he, apni dunya se bilkul anjaan ho kar woh jo chate hain karte hain, is liye sab se pehle sharaab k bare me sochna hoga, yad rahe k jab tak sharaab bikti rahegi, crime hote rahengey, aur ise koi bhi qanoon aur police nahi rok sakti. public palace me sharaab bilkul allow nahi hona chahiye. School k samney, Bus stand k pas, Raiway Station k pas, Parkon k pas aur Market me to bilkul bhi allow nahi hona chahiye.
  • Aise logo ki jald se jald pehchan karen jo is tarah ki harkaten karte hain, unko arrest kiya jaye aur puri saza di jaye, unko zamanat na di jaye, un par case chalaya jaye, unki gang ka pata lagaya jaye aur un par ban lagaya jaye.
  • Jagah jagah police ki duty lagayi jaye. Aise ilaqe ji sunsan rahte hain wahan zarur police honi chahiye,  aur hae waqt unki duty ho. aur han ACTIVE  POLICE HONI CHAHIYE.
  • Har bus pe driver aur conductor ki puri detail honi chahiye.
  • Raat me ghoomne walon par lagam lagni chahiye, 




FAISAL ANAS

15 December, 2012

Un Ko Bhi Dekho.....

Sardi ka mousam kise pasand nahi? jab yeh mosam ata he to mai bahut khush hota hun q k mujhe bhi yeh mosam bahut pasand he. Subah subah jab ankh khulti he aur apne aapko naram garam aur mulayam blanket me pata hun to mano dunya ki sari lazzat aur sara sukoon hasil ho jata he.  Sardi ma mosam ek alag maza lekar aata he. Is mosam me subah subah after sunrise jab ham dhoop senk ne nikal te hain aur hamari thanki skin par dhoop padti he to bahut maza ata he.  phir jab garden me jate hain aur taza khili huye, chamakdar, khoobsoorat, chamkile aur ache flowers pa hamari nazar padti he to ankhon aur dil ko ek alag hi maza milta he aur thodi der k liye sari tension door ho jati he aur ham relief feel kar te hain, Yeh sab upar wale ka shukr he jis ne hame bilkul msahi banaya aur hamare liye ache ache weathers banaye taki ham sab ki importance ko samajh saken,



    Lekin kya ham ne kabhgi socha h k jitna maza ham utha te hian, sabhi sardi me utna hi maza kar te hongey?  kya sab k pas raat ko odhne k liye balankets hian? leave blankets, kya sab k pas raat spend kar ne k liye chhat hain? leave roofs, kya sab k pas pet bharne k liye khana he? NAHI!!!!   Q nahi??? iska jawab sab k pas he lekin iske kon kon qadam uthata he? iska jawab shayad bahut kam logon k pas he.

   Jab bhi hame koi takleef hoti he ham without any late uska solution talash karte hain, agar kisi se shikayat se ho usko kehte hain, agar problem paison se door hoti he to ham money spend kar te hain, yahan tak k agar abni problem solve kar wane k liye protest aur dharna pradarshan k zarurat padti he to ham woh bhi karte hain, phir ham vehicles ko rokte hain, tayers jalate hain, shops and markets band kar wa te hain, railway ko disturb kar te hain, fir chahe, log shaopping na kar payen, chahe bache school na ja paye, chahe patients hospital na japaye, lekin ham yeh sab karte hain, taki hamari b aat mani jaye aur hamari problem solve ho jaye aur hamari pareshani door jaye.

    well ham yeh sab karte hain q k hamare pas paisa he, taqat he, approcah he, majority he, lekin unka kya jo abni bhook ko door karne k liye bho protest nahi sakte? jo apni baat  manwane k liye anshan nahi kar sakte? jo agar dharna dete hain to poloce k dande baraste hain, agar bada andolan kar te hain ko jail jate hain, jin ka koi sunne wala nahi he, agar raat ko kisi bhi bade shahar ( city) me  walk k liye nikal jayen to apko hazaroz log footpath par, pakon me, rikshon sote hue mil jayengey, kya unka haq nahi h k woh bhi naram garam balnket me soyen? kya woh insaan nahi he? reservation k liye to protest kar sakte hain, apni party ko electoin me victory dila k liye to protest kar sakte hain, lekin un becharon k liye nahi kar sakte jinko raat ki thandak ki wajah se nahi bal ki pet ki bhhok ki wajah se hi neend nahi ati he. ji han,  woh log jo din bhar kaam karte hain aur shaam ko apni mazdoori k liye line lagate hain. jo rikshaw chala kar logon ko manzil tak pahunchate hain lekin kiraya lene k liye daant khate hain jaise k bheek mang rahe hon. Akhir kab unki zindagi sudhregi?
FAISAL ANAS

09 December, 2012

Hamare Noujawan Hamari Milkiyat


(Note: Ham me se har ek english nahi janta he, aur har ek urdu ya hindi font bhi theek se nahi padh pata he. kuch log hain jo English k mahir hote hain aur kuch hain jo Urdu k font padh lete hain, isliye maine socha k q na is blog ko English font me Urdu aur Hindi zubaan me likah jaye ta k jo sirf English font hi padh pate hain aur English language me unko problem ati he, woh bhi articles padh saken
Meri yeh starting apko kaisi lagi. zaroor batayega, yahan comment kar k bhi aur mujhe mail kar k bhi.
thanks)

Hamare Noujawan Hamari Milkiyat

Hindustan k pas naujawano ki zabardast tadaad he, aur yeh ek aisi milkiyat he jis k zariye hindustan dunya me koi bhi muqam hasil kar sakta aur mazeed bar aan yeh k hindustan me hunar ki bhi kami nahi he aur mazeed yeh k hindustani naujawan mehnati bhi hote hain, to phir unko sahuliyat aur mawaqe ki zarurat he, agar unko apne andar  k hunar ko farogh dene ka moqa aur munasib sahulat mil gayi to hindustan ko ek zabardast kamyabi hasil hogi kyon k hindustani art, aur hunar ki dunya me zabardast maang he. yahi wajah he k ghir mulki comanies hindustan ka rukh kar rahi hen ta k yahan k noujawano se woh kaam le saken jo khud yahan ki sar kar nahi le pa rahi hen aur jo k taraqqi ka bahut zariya he.
 Is bat ki behad zarurat he k yahan k mulazimeen ko mukhtalif tarah k tajurbat se guzara jaye aur alag alag mahaul me kaam kar ne ka moqa mile ta k unki salahiyat me nikhar aja ye aur behtar dhang se kaam kar ne me mazeed madad mile. government tarah tarah ki iskime start kare. mukhtalif hunar ko sikhane k camp lagaye, aur un hi sikhe hue afrad ko companies me kaam karne ko bheja jaye, aur yeh dhiyan rakhna bahut zaruri he k hamare naujawan hamare mulk k liye aur hamare mulk ki companies k liye to zyada behtar hoga hamare liye aur hamare desh ki taraqqi k liye. warna gair mulki log shuru se hi hamara fayda utha te aa rahe hain aur ham apne hi mulk me, apni hi zameen par, apni hi kamayi unko sonp dete hain, pehle woh zabaradati le te they aur ab chalaki se lete hain.

FAISAL ANAS